Chaand ki aankhein bhaari si hain
Raat andheri haari si hai [x2]
Maan bhi ja, thehar zara
Savera koi Door hai kya
Bas, ab raat guzarne waali hai
Ab raat guzarne waali hai
Ab Raat guzarne waali hai
Bas, raat guzarne waali hai
Dard-dard andhera, Zakhm si chaandni
Dhul jaayegi dhoop mein
Sard haathon ka ghera, shehar ki berukhi
Kho jaayegi, goonj mein
Parindon ki azaane, gungunaati raah bhi
Kehti hai aankhein choom ke
Bas, ab raat guzarne waali hai
Ab raat guzarne waali hai
Ab raat guzarne waali hai
Bas, raat guzarne waali hai
Meri suno toh aankhein moondo
Khud mein hi dhoondho nayaa ik nazariyaa
Khauf mein tumne chhupa rakkha hai
Apne bheetar noor ka dariya
Behne do usey woh dho dega
Deewar jo mann ki kaali hai
Ab raat guzarne waali hai
Ab raat guzarne waali hai
Ab raat guzarne waali hai
Bas raat guzarne waali hai
0 Comments