[Verse 1: Jubin Nautiyal]
Tere jaane ka gham, aur na aane ka gham
Phir zamaane ka gham, kya karein?
Raah dekhe nazar, raat bhar jaag kar
Par teri to khabar naa mile
[Bridge: Jubin Nautiyal]
Bahot aayi-gayi yaadein, magar is baar tum hi aana
Irade phir se jaane ke nahi laana, tum hi aana
[Instrumental-Break]
[Verse 2: Jubin Nautiyal]
Meri dehleez se hokar bahaare jab gujarti hai
Yahan kya dhoop? kya saavan? Hawayein bhi barasti hai
Humein pucho kya hota hai, bina dil ke jiye jaana
Bahot aayi-gayi yaadein, magar is baar tum hi aana
[Instrumental-Break]
[Verse 3: Jubin Nautiyal]
Koi to raah wo hogi jo, mere ghar ko aati hai
Karo picha sadaaon ka, suno kya kehna chahti hai
Tum aaoge mujhe milne, khabar ye bhi tum hi laana
Bahot aayi-gayi yaadein, magar is baar tum hi aana
[Outro: Jubin Nautiyal]
Marjaavan
Marjaavan
===============================================================
You can watch this song on youtube
You are all always welcome to my blog👆
0 Comments